Monday, June 2, 2008

A message by Vinay

24 sweet hrs make 1 sweet day!
7 sweet days make 1sweet week!
4 sweet week make 1sweet month!
But 1 sweet friend like u makes whole life sweet!

A joke by Vinay

Ek aadami bola :
Din ko chain nahi
raat ko aram nahi
ji na lage kahi
E-khuda kya yahi pyar hai ? ? ?
fir khuda bola :
Nahi ye garmi ki shurwat hai !!!!!!!!!!!

A Sher by Vinay

Mehak Dosti ki ishq se kam nahi hoti,
Ishq par hi dunia khatm nahi hoti,
Agar saath ho achhe Dosto ka,
arey mujhy in lafzon per koi yakeen nahi janab
toh jindgi jannat se kam nahi hoti

A Sher by Vinay

Zindagi Ek Raat Hai..
Jis Mein Na Jane Kitne Khwaab Hai,
Jo Mil Gaya Wo Apna Hai..
Jo Tut Gaya Wo Sapna Hai...!!!

A Message by Vinay

Ever u miss me, never u cry..
For a drop of Tear in ur eyes,
Is a day less in my life

A Sher by Vinay

Majburi me nahi dil kare to yad karna,
Risto se fursat mile to yad karna,
Hai dua ke har khusi pao tum,
Firbhi ankhe bhar aye to yad karna..

A Sher by Vinay

Tum hasti ho mujhe hasane ke liye
tum roti ho mujhe rulane ke liye
tum ek bar ruth kar to dekho
mar jaunga tumhe manane ke liye.
Its.me

A Sher by Vinay

Teri yaad bhi kamal karti hai,
kaise kaise humse sawal karti hai,
ek pal ko tanha nahi karti mujhe
teri yaad bhi mera kitna khayal karti hai

Wednesday, May 28, 2008

Ghazal by Salma

Anokha laadla khailan ko mangey chand re
kaisi anokhi baat re
tan key ghaou to bhar gaye data
man ka ghaou nahi bhar pata
ji ka haal samajh nahi aata
kaisi anokhi baat re
anokha laadla khailan ko mangey chand re
pyaas bhujhey kab ek darshan se
tan sulgey bas ek agan main
man boley rakhlon nainan main
kaisi anokhi baat re
anokha laadla khailan ko mangey chand re
jis pe na bitti woh kab janey
jag waley aaye samjhaney
pagal man koi baat na maney
kaisi anokhi baat re
anokha laadla khailan ko mangey chand re

Ghazal by Salma Courtecy : "Insha ji"

Insha ji utho ab kuch karo
es sehar main ji ko laga na kya
wehshi ko sakoon se kya matlab
jogi ka nagar main thikana kya
insha ji utho ab kooch karo
es sehar main ji ko laga na kya
es dil ke darida daaman main daikho to sahi socho to sahi
jis jhooli main 100 chaid huwey
us jhooli ka phailana kya
insha ji utho ab kooch karo
es sehar main ji ko lagana kya
shab bitti chand bhi doob chala
zanjeer padi darwaze pe
kion dair gaye ghar aaye ho
sajni se karogey bahana kya
insha ji utho ab kooch karo
es sehar main ji ko lagana kya
jab share key loog na rasta dain
yon man main na ja kuch aaram karain
diwano ki si na baat karey to oure karey diwana kya
insha ji utho ab kooch karo
es sehar main ji ko lagana kya

Saturday, May 24, 2008

Song by Salma sung by "Sukhbir Singh"


Tadap ye ishq ki
kabhi nahi jati
ke jaan dai ke bhi diwangi nahi jati
najaney kon si dunya hai woh mairey Rabba
jahan se loot ke koi sada nahi aati
ho ho ho ishq main to har cheez meet jati hai
baiqarari badh ke hamain tadpati hai
yaad yaad bas yaad reh jati hai
woh tairi yaad
yaad yaad bas yaad rehjati hai
kar key ye tanha zindagani
tu gai chood key kahani
ab ye aanso piya na jaye
bin tairey ab jeya na jaye
dard se tootti mairi saansain
zakham dil ka seya na jaye
aaja aaja mairi wafa tujhey bulati hai
yaad yaad bas yaad rehjati hai
woh tairi yaad
yaad main daikho ye haseen taj mehal
yaad main daikho bana hai ye haseen taj mehal
yaad main koi likhey shaam o sahar shookh gazal
dil key darya main khilta hai khuwabon ka kanwal
yaad aatey hain hamaisha woh guzrey huwey pal
tu nahi hai tairi yaadain mujhy satati hain
yaad yaad bas yaad rehjati hai
ishq main har cheez mit jati hai

Poetry by Salma


Aye jazba e dil gar main chahoon
har cheez mukabil aa jaye
manzil key leye do gaam chalon
oure saamney manzil aajaye
aye dil ki khalish chal yonhi sahi
pohncha to un ki mehfil main
us waqt mujhy chonka daina
jab rang pe mehfil aajaye
aye jazba e dil gar main chahon
es ka aik aik shabd phadain.

Ghazal by Salma

Ye chiraag benazar hai ye sitaara bezubaan hai
abhii tujhase milataa julataa koii duusaraa kahann hai
vahii shakhs jisape apane dil o jaan nisaar kar duun
vo agar khafaa nahiin hai to zaruur badagumaan hai
kabhii paa ke tujhako khonaa kabhii kho ke tujhako paana
ye janam janam kaa rishtaa tere mere daramiyaan hai
mere saath chalanevaale tujhe kyaa milaa safar main
vahii dukh bharii zamiin hai vahii gam kaa aasmaan hai
main isii gumaan main barason badaa mutmain rahaa huun
teraa jism beta gaiyyur hai meraa pyaar jaavidaan hai
unhiin raaston ne jin par kabhii tum the saath mere
mujhe rok rok puuchaa teraa hamasafar kahan hai.

Sher by Vinay


Dosti mein shabdo ki ahmiyat nahi hoti
dil ke jazbat ki awaz nahi hoti
aankhein baayan kar deti hai dil ki dastan
dosti lafzo ki mohtaj nahi hoti
DOST HAI TO HAI ZINDAGI :)

Kalam by Salma Courtecy : "Bashir Badar"


Yuun hii besabab na phiraa karo koii shaam ghar bhii raha karo
vo gazal kii sachchii kitaab hai use chupke chupke padhaa karo
koii haath bhii na milaayega jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai zaraa faasale se milaa karo
abhii raah main kaii mod hain koii aayegaa koii jaayega
tumhain jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo
mujhe ishtahaar sii lagatii hain ye mohabbaton kii kahaaniyaan
jo kahaa nahiin vo sunaa karo jo sunaa nahiin vo kahaa karo
kabhii husn e pardaanashiin bhii ho zaraa aashiqaana libaas main
jo main ban sanvar ke kahiin chaluun mere saath tum bhii chalaa karo
ye khizaa(patzad) kii zard sii shaam main jo udaas ped ke paas hai
ye tumhaae ghar kii bahaar hai ise aansuon se haraa karo
nahiin behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koii asar nahiin
use tanii garmi e shauq se badii der tak na takaa karo

Friday, May 23, 2008

Ghazal by Salma

Honton pe kabhi un key maira naam bhi aaye
aaye to sahi barsar e ilzam hi aaye
honton pe kabhi un key maira naam bhi aaye
hairan hain labbasta hain dilgir hain gunchey
honton pe kabhi un key maira naam bhi aaye
aaye to sahi bar sar e ilzam hi aaye
hairan hain lab basta hai dil gir hain gunchey
khoshbu ki zubani taira paigam hi aaye
honton pe kabhi un key maira naam bhi aaye
taron se saja laingey rahe share tamana
ab door nahi subo chalo shaam hi aaye
honton pe kabhi un ke maira naam bhi aaye
kya raha badalney ka gila ham safaron se
jis reh key sajailey tairey daro baam hi aaye
honton pe kabhi un ke maira naam bhi aaye
baqi na rahey saath ada dasht e jano ki
dil main ager andaisha e anjam bhi aaye
honton pe kabhi un key maira naam bhi aaye

Ghazal by Salma

Dasht(desert) e tanhai main aye jane jahan larza(thartharana) hai
tairi awaaz ke saye tairey honton ke sarab
dasht e tanhai main doori ke khaso khaak taley
khil rahey hain tairey pehlo ke samand oure gulab
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai
uth rahi hain kahain purbat se tairi saans ki aanch
apni khoshbu main sulagti hoi madham madham
door ufaq paar chamakti hoi qatra qatra
gir rahi hai tairi dildar nazar ki shabnam
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai
tairi aawaz key saye tairey honton key sarab
es qadar pyaar se aye jane jahan rakha hai
dil ke rukhsar pe es waqt tairi yaad ne haath
yon guman hota hai garchey hai abhi subh e firaq
dhal gaya hijar ka dil aa bhi gai wasal ki raat
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai

Ghazal by Salma


Daag e dil hum ko yaad aaney lagey
loog apney deye jalaney lagey
khood faraibi si khood faraibi hai
paas key dhool bhi suhaney lagey
loog apney deye jalaney lagey
daag e dil
ab to hota hai har kadam pe guman
hum ye kaisa kadam uthaney lagey
loog apney deye jalaney lagey
daag e dil hum ko yaad aaney lagey
aik pal main wahan se hum uthay
baithney main jahan zamaney lagey
loog apney deye jalaney lagey

to be continued..........

Sarayeki kalam by Salma



Majid dha de mandir dha de
masjid dha de mandir dha de
dha de jo kuch dehanda
par kisi da dil na dhawi(girana)
Rab dilan wich rehanda
taino kal na kai
wanga(bangles) pohandi hai
ho alam sara labya wainda hai
taino kal na kai
wanga pohandi hai
tu bhokya hai hath kar bazar

Sufyana kalam by Salma



Man nami manal haq
yaar mi goyat go
chu na boyam chu mara dildar mi
goyat go
arey logo
tumhara kya
arey logo tumhara kya
main jano maira Khuda janay
jo zar(doulat) mango to bay zar hon
jo sir mango to hazir hon
mukh modon to kafar hoon
main jano maira Khuda janey
arey logo tumhara kya
main jano maira Khuda janey
chada mansoor(khalifa) suli per
jo wakif tha wahi dilbar
arey mulla janaza phad
main jano maira Khuda janey
arey logo tumhara kya
main jano maira Khuda janey
tum hi dilbar ho sarwar ka
tum hi ho pyaara haider ka
pilaou jaam Kausar ka
main jano maira Khuda janey
arey logo tumhara kya
main jano maira Allah janey
wahi ehsan mujh per kar
amir ul momanin haider
Bulley ka sawal pura kar
main jano maira Allah janey
arey logo tumhara kya
main jano maira Khuda janey

Ghazal by Salma courtecy : "Nasir Qazmi"



Nasir kya kahataa phirata hai kuch na suno to behatar hai
hum yaheen hai aap ke samne
diivaana hai diivaane ke muunh na lago to behatar hai
kal jo thaa vo aaj nahiin jo aaj hai kal mit jaayega
ruukhii suukhi jo mil jaaye shukar karo to behatar hai
kal ye taab o tavaan na rahegii thandaa ho jaayega lahuu
naam e Khudaa ho javaan abhii kuchh kar guzaro to behatar hai
kyaa jaane kyaa rut badale haalaat kaa koii thiik nahiin
ab ke safar main tum bhii hamaare saath chalo to behatar hai
kapade badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
raat bahut kaalii hai Nasir ghar main raho to behatar hai

Ghazal by salma courtecy : "Nasir Qazmi"



Jab se tuney mujhy diwana bana rakha hai
sang har shaks ney haaton main utha rakha hai
us key dil per bhi kadi ishq main guzri hogi
naam jis ney bhi muhabbat ka saza rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
patharon aaj mairey sir pe barastey kion ho
mainey tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
pi ja ayaam ki talkhi ko bhi hans kar nasir
gum sehney main bhi qudrat ney maza rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
dil dhadakane ka sabab yaad aaya
vo terii yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalanaa ai dost
tuu musiibat main ajab yaad aaya
din guzaara tha badii mushkil se
phir teraa vaada e shab yaad aaya
teraa bhuula hua paimaan e vafaa
mar rahainge agar ab yaad aaya
phir kaii log nazar se guzare
phir koii shahar e tarab yaad aaya
haal e dil ham bhii sunaate lakin
jab vo rukhsat hue tab yaad aaya
baith kar saayaa e gul main Nasir
ham bahut roye vo jab yaad aaya

Ghazal by Salma



Koii hm nafas nahiin hai koi raazdaan nahiin hai
mein khuda se wish karata hun ki woh aap ko in sab chijon bachhaye rakhe
faqat ik dil thaa apanaa so vo meharabaan nahiin hai
kisii aur gam main itanii khalish e nihaan nahiin hai
gam e dil meraa rafiiqo gam e raayegaan nahiin hai
merii ruuh ki haqiiqat mere aansuon se puuchho
meraa majalisii tabassum meraa tarjumaan nahiin hai
kisii ankh ko sadaa do kisii zulf ko pukaaro
badii dhuup pad rahii hai koii saayebaan nahiin hai
inhiin pattharon pe chal kar agar aasako to aao
mere ghar ke raaste main koii kahakashaan nahiin hai

Sunday, May 18, 2008

Ghazal by Vinay Courtecy : "Rahat Indori"


har ek chehre ko zakhmo ka aaina na kaho
ye zindagi to hai rehmat, isse saza na kaho

na jaane kaun si majaburiyo ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai to bewafa na kaho

tamaam shehar ne nezo pe kyun uchhaala mujhe
ye ittefaaq tha, tum isko haadsa na kaho

ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo meraa dost tha kal tak, usse bura na kaho

hamaare aib hume ungliyo pe ginvao
hamari peeth ke pichhe hume bura na kaho

mai waqiyaat ki zanjeer ka nahi kaayal
mujhe bhi apne gunaaho ka silsila na kaho

ye shehar vo hai jahan raakshas bhi hai "Rahat"
har ek taraashe huye but ko devta na kaho

Poetry of Salma Courtecy : "Wasi Shah"



Kaash main tere hasiin haath ka kangan hota
tuu bade pyaar se bade chaao se bade aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaai main chadhaati mujh ko
aur betaabii se furqat ke klhizaan lamhon main
tuu kisii soch main duubii jo ghumaati mujh ko
main tere haath kii khushbuu se mahak saa jaata
jab kabhii muud main aa kar mujhe chuuma karatii
tere honthon kii shiddat se main dahak saa jaata
raat ko jab bhii tuu niindon ke safar par jaati
marmarii haath ka ik takiyaa banaaya karatii
main tere kaan se lag kar kaii batain karataa
terii zulfon ko tere gaal ko chuuma karata
jab bhii tuu band qabaa(kapde) kholane lagatii jaanaan
apanii ankhon ko tere husn se kheraa karata
mujh ko betaab saa rakhata terii chaahat kaa nashaa
main terii ruuh ke gulashan main mahakataa rahata
main tere jilsm ke aangan main khanakataa rahata
kuch nahiin to yahii benaam saa bandhan hota
kaash main tere hasiin haath ka kangan hota

Friday, May 16, 2008

Poetry by Salma



Din saliiqe se ugaa raat thikaane se rahii
dostii apanii bhii kuchh roz zamaane sr rahii
chand lamhon ko hii banatii hain musavvir aankhain
zindagii roz to tasviir banaane se rahii
is andhere main to thokar hii ujaala degii
raat jangal main koii shamma jalaane se rahii
faasala chaand bana detaa hai har pathar ko
duur kii raushanii nazadiik to aane se rahii
shahar main sab ko kahaan milatii hai rone kii fursat
apanii izzat bhii yahaan hansane hansane se rahi

Ghazal by Vinay courtecy : "Mirza Ghalib"



aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?
ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak
yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

Kalam by salma courtecy : "Nida Fazli"



Har ghadi khud se ulajhana hai muqaddar mera
main hii kashtii huun mujhii main hai samandar meraa
kisase puuchhuun ki kahaan gum huun barason se
har jagah dhuundhataa phirataa hai mujhe ghar meraa
ek se ho gae mausamon ke chehare saare
merii aankhon se kahiin kho gayaa manzar meraa
muddatain biit gaii khvaab suhaana dekhe
jaagataa rahataa hai har niind main bistar meraa
aainaa dekhake nialaa tha main ghar se baahar
aaj tak haath main mahafuus hai patthar meraa

Ghazal by Salma



Har taraf har jagah beshumaar aadamii
phir bhii tanahaaiyon ka shikaar aadamii
subah se shaam tak bojh dhotaa huaa
apanii hii laash ka khud mazaar aadamii
har taraf bhaagate daudate raaste
har taraf aadamii ka shikaar aadamii
roz jiita huaa roz marataa huaa
har nae din nayaa intazaar aadami
zindagii ka muqaddar safar dar safar
aakhirii saans tak beqaraar aadamii
roz jiita huaa roz marataa huaa
har nae din nayaa intazaar aadami
dindagii ka muqaddar safar dar safar
aakhirii saans tak beqaraar aadamii

Wednesday, May 14, 2008

Ghazal by Vinay

Aao neend ki aaghosh main
Phir Mulakaat karain…
Is jahaan say us jahaan tak ka Faasla
Ik lamhay main paar karay
Teri Aankhein jo bandh ho gaee is jahaan say
Chalo yehi rah Ikhtiyaar karay
Jhilmilatay Taaro kay Saath
Aao phir say Tumhain yaad karay
Neend ki aaghosh main
Aik Mulakaat karay….
Cortecy : "Unknown"

Courtecy : "Mirza Ghalib"

Ham ko malum hai jannat ki haqiqat lekin,
Dil ke khush rakhne ko Ghalib yih khayal achha hai.

Jindagi apani jab is shakl se guzri Ghalib,
ham bhi kya yaad karen gekih khuda rakhte the

Baskih dushvar hai har kaam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahin insan hona.

Punjabi Ghazal by Salma

Rab janey sano te tu maar suthya
shala aap jawaneyan marda
wari jawa tairey bin mai mar gai
maino rona punj daryawan da
sohnya kadi mukh na modi
sadkey maira saath na todi
taira pyaar miley na maino
ki dunya te laina
main din raat chakori wango
chand tu door nahi rehna
phool patyan tairey kolon wadh huwan
maino lagan hawawan takhyan
Rab janey
cakhna taino shaam sawairey
rakhna taino dil de naidey
taira mukhda waikh laiwan te
apni hosh nai rehndi
ki hoia jai dunya maino tairi kamli kaindi
chitti doori takya nai dil rajda
maino omer bhi lagdi thodi
Rab janey
janeya tu hai sab tu sohna
taira jaya koi hour nai hona
sari omer karangi gulami
kadma ich rakhley
maira hik hik sa daiwaiga mit duwawan taino
haye akhyan pehli wari pyaar deyan
mairey dil ne lazaten chakhyan
Rab janey.

Ghazal by Vinay

Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logon ne kaha wah kya gazal likh di…

Poetry by Salma - courtecy : "Salim Kausar"

Main khayaal huun kisii aur kaa mujhe sochataa koii aur hai
sar e aaiinaa meraa aks hai pas e aaina koii aur hai
mailn kisii kle dast e talab main huun to kisii ke harf e duaa main huun
main nasiib huun kisii aur ka mujhe maangataa koii our hai
kabhii laut aayen to na puuchhana sirf dekhana bade gaur se
jilnhain raaste main khabar huii ki ye raasta koii aur hai
ajab aitabaar ba aitabaarii ke daramiyaan hai zindagii
main qariib huun kisii aur ke mujhe jaanataa koii aur hai
vahii munsifon kii rivaayatain vahii faisalon kii ibaaratain
meraa jurm to koii aur thaa par merii sazaa koii aur hai
terii roshanii merii khaddo khaalo se mukhtalif to nahiin magar
tuu qariib aa tujhe dekh luun tuu vahii hai yaa koii aur hai
jo merii rayaazat e niim shab ko Saleem subah na mil sakii
to phir is kii maanii to ye hue ke yahaan Khudaa koii aur hai.
Courtecy : "Salim Kausar"

Poetry by Salma - Courtecy : "Mirza Ghalib"

Aaina kyuun na duun ke tamaashaa kahain jise
aisaa kahaan se laaun ke tujhasaa kahain jise
hasarat ne laa rakhaa terii bazm e khayaal main
guladastaa e nigaah suvedaa kahain jise
phuunkaa hai ksane goshe muhabbat main ai Khudaa
afasuun e intazaar tamanaa kahain jise
sar par huju e dard e gariibi se daliye
vo ek musht e khaak ke saharaa kahain jise
hai chashm e tar main hasarat e diidaar se nihaan
shauq e inaan gusekhtaa dariyaa kahain jise
darakaar hai shiguftan e gul haaye aish ko
subh e bahaar panbaa e miina kahain jilse
Ghalib buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
aisaa bhii koii hai ke sab achcha kahain jise.
Courtecy : "Mirza Ghalib"

Ghazal by Vinay - courtecy "Mirza Ghalib"


aa, ki meree jaan ko qaraar naheeN hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar naheeN hai

dete haiN jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha ba_andaaza-e-KHummaar naheeN hai

giriya nikaale hai teree bazm se mujh ko
haay ! ki roone pe iKHtiyaar naheeN hai

hamse 'abas hai gumaan-e-ranjish-e-KHaatir
KHaak meiN ushshaaq kee GHubaar naheeN hai

dil se uThaa lutf-e-jalva haay ma'anee
GHair-e-gul aainaa-e-bahaar naheeN hai

qatl ka mere kiya hai 'ahad to baare
waae ! akhar 'ahad ustuwaar naheeN hai

toone qasam mai_kashee kee khaaee hai 'GHalib'
teree qasam ka kuchch 'eitbaar naheeN hai !

Courtecy : "Mirza Ghalib"


Poetry from Salma

kal chaudhaviin kii raat thii shab bhar rahaa charcha tera
kuchh ne kahaa ye chaand hai kuchh ne kahaa cheharaa tera
ham bhii vahiin maujuud the ham se bhii sab puuchaa kiye
ham hans diye ham chup rahe manzuur tha paradaa teraa
es shahar main kis se milain ham se to chhutii mahafilain
har shakhs teraa naam le har shaks diivaana teraa
kuchhe ko tere chhod kar jogii hii ban jaayen magar
jangal tere parbat tere bastii terii saharaa teraa
ham aur rasm e bandagii aashuftagii uftaadagii
ehasaan hai kyaa kyaa teraa ai husn e beparvaa teraa
do ashk jaane kis liye palkon pe aa kar tik gaye
altaaf kii baarish terii ikraam ka dariyaa teraa
ai bedaareg o be amaan ham ne kabhii kii hai fugaan
ham ko terii vahashat sahii ham ko sahii saudaa teraa
tuu bevafaa tuu maharabaan ham aur tujh se bad gumaan
ham ne to puuchaa tha zaraa ye vaqt kyuun tharaa tera
ham par ye sakhtii kii nazar ham hain faqiir e rah guzar
rastaa kabhii rokaa teraa daaman kabhii thaama tera
haan haan terii suurat hasiin lekin tuu aisaa bhii nahiin
is shakhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa
beshk usii kaa dosh hai kahataa nahiin khaamosh hai
tuu aap kar aisii davaa biimar ho achchaa tera
bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchii gazal
aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa Inshaa teraa.
a ghazal by Salma (karachi)