Friday, May 23, 2008

Ghazal by salma courtecy : "Nasir Qazmi"



Jab se tuney mujhy diwana bana rakha hai
sang har shaks ney haaton main utha rakha hai
us key dil per bhi kadi ishq main guzri hogi
naam jis ney bhi muhabbat ka saza rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
patharon aaj mairey sir pe barastey kion ho
mainey tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
pi ja ayaam ki talkhi ko bhi hans kar nasir
gum sehney main bhi qudrat ney maza rakha hai
jab se tu ney mujhy diwana bana rakha hai
dil dhadakane ka sabab yaad aaya
vo terii yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalanaa ai dost
tuu musiibat main ajab yaad aaya
din guzaara tha badii mushkil se
phir teraa vaada e shab yaad aaya
teraa bhuula hua paimaan e vafaa
mar rahainge agar ab yaad aaya
phir kaii log nazar se guzare
phir koii shahar e tarab yaad aaya
haal e dil ham bhii sunaate lakin
jab vo rukhsat hue tab yaad aaya
baith kar saayaa e gul main Nasir
ham bahut roye vo jab yaad aaya