Friday, May 23, 2008

Ghazal by Salma

Dasht(desert) e tanhai main aye jane jahan larza(thartharana) hai
tairi awaaz ke saye tairey honton ke sarab
dasht e tanhai main doori ke khaso khaak taley
khil rahey hain tairey pehlo ke samand oure gulab
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai
uth rahi hain kahain purbat se tairi saans ki aanch
apni khoshbu main sulagti hoi madham madham
door ufaq paar chamakti hoi qatra qatra
gir rahi hai tairi dildar nazar ki shabnam
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai
tairi aawaz key saye tairey honton key sarab
es qadar pyaar se aye jane jahan rakha hai
dil ke rukhsar pe es waqt tairi yaad ne haath
yon guman hota hai garchey hai abhi subh e firaq
dhal gaya hijar ka dil aa bhi gai wasal ki raat
dasht e tanhai main aye janey jahan larza hai