Sunday, May 18, 2008

Ghazal by Vinay Courtecy : "Rahat Indori"


har ek chehre ko zakhmo ka aaina na kaho
ye zindagi to hai rehmat, isse saza na kaho

na jaane kaun si majaburiyo ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai to bewafa na kaho

tamaam shehar ne nezo pe kyun uchhaala mujhe
ye ittefaaq tha, tum isko haadsa na kaho

ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo meraa dost tha kal tak, usse bura na kaho

hamaare aib hume ungliyo pe ginvao
hamari peeth ke pichhe hume bura na kaho

mai waqiyaat ki zanjeer ka nahi kaayal
mujhe bhi apne gunaaho ka silsila na kaho

ye shehar vo hai jahan raakshas bhi hai "Rahat"
har ek taraashe huye but ko devta na kaho