Saturday, May 24, 2008

Kalam by Salma Courtecy : "Bashir Badar"


Yuun hii besabab na phiraa karo koii shaam ghar bhii raha karo
vo gazal kii sachchii kitaab hai use chupke chupke padhaa karo
koii haath bhii na milaayega jo gale miloge tapaak se
ye naye mizaaj kaa shahar hai zaraa faasale se milaa karo
abhii raah main kaii mod hain koii aayegaa koii jaayega
tumhain jisane dil se bhulaa diyaa use bhuulane kii duaa karo
mujhe ishtahaar sii lagatii hain ye mohabbaton kii kahaaniyaan
jo kahaa nahiin vo sunaa karo jo sunaa nahiin vo kahaa karo
kabhii husn e pardaanashiin bhii ho zaraa aashiqaana libaas main
jo main ban sanvar ke kahiin chaluun mere saath tum bhii chalaa karo
ye khizaa(patzad) kii zard sii shaam main jo udaas ped ke paas hai
ye tumhaae ghar kii bahaar hai ise aansuon se haraa karo
nahiin behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koii asar nahiin
use tanii garmi e shauq se badii der tak na takaa karo